Mas’ala:Aurato ke liye mehandi lagana durust hai.Balki afzal yahi hai ki woh apne haatho me mehandi lagaae.Kyunki Aap Sallallaho alaihe wasallam ne aurat ke begair mehandi lage hue haath ko pasand nahi farmaya.(Sunan Nisa’ee,Hadis No.5089)
Mas’ala:Mardo ke liye haath aur pair me mehandi lagaana durust nahi hai.Kyunki is se aurato se mushabehat hoti hai.Aur Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne un mardo par la’nat farmaya jo aurato se mushabehat karta hai aur un aurato par la’nat farmaya jo mardo se mushabehat karti hain.(Tirmizi,Hadis No.2784)
Mas’ala:Kuchh auraten chhote ladko ke haath aur pair me mehandi laga deti hain.Ye bhi jaa’iz nahi hai.Aur is ka gunah lagane wali ko hoga.
Mas’ala:Kaanch ki churiyan pahan-na aurato ke liye jaa’iz hai. Kyunki shari’at ne is se mana nahi kiya hai.Aur agar apne shauhar ke liye singhar ki niyat se pahne to sawab bhi hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Amal ka daar-o-madaar niyato par hai. Aur agar maa baap hukm de to wajib hai.(Fatawa Razawiya, Vol: 22, Page No.115)
Mas’ala:Lipstick aur Nail polish wagairah lagana jaaiz hai jab ki us me koi napaak chiz nahi mili ho.Lekin agar woh tah-daar ho to wazu aur gusal ke waqt achchhi tarah saaf kar len nahi to wazu aur gusal nahi hoga. Sindoor ka istemal karna sahi nahi hai.Kyunki ye kaafirah aurato ki pehchan hai.Aur Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo kisi qaum se mushabehat ekhtiyar kare to woh bhi usi me se hai.
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam